Friday 23 October 2009

Let Both Of Us Become Strangers Once Again

” />

What a great hero-heroine-rival piano song about the love-triangle! Sad but true to life....

Not only is the problem highlighted beautifully by Sahir sahib, the way out too is narrated in the last line!

Movie: Gumrah
Singer: Mahendra Kapoor
Music Director: Ravi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Actors/Actresses: Ashok Kumar, Sunil Dutt, Mala Sinha
Year/Decade: 1963, 1960s

chalo ik baar phir se, ajnabii ban jaeyN hum dono
chalo ik baar phir se ...

na maiN tumse koi umeed rakhuN dil-navazi ki
na tum meri taraf dekho ghalat andaaz nazroN say
na mere dil ki dhaRkan laRkhaRaaye meri baatoN say
na zaahir ho tumhaari kashmakash ka raaz nazroN say
chalo ik baar phir se ...

tumheN bhi koi uljhan rokati hai pesh-qadmi say
mujhay bhi loge kehatay haiN kay yeh jalavay paraaye haiN
meray hamraah bhi rusvaaiyaaN haiN meray maazi ki - 2
tumhaaray saath bhi guzari huee raatoN ke saaye haiN
chalo ik baar phir se ...

taarruf roge ho jaaye to usko bhoolna behtar
taalluq bojh ban jaaye to usko toRna achchhaa
vo afsaana jisay aNjaam tak lana naa ho mumakin - 2
usay ik khoobsurat moRe day kar chhoRna achchhaa
chalo ik baar phir se ...

No comments: